ICIBILLET.COM
ICIBILLET
Paroles de chanson
03/05/2026
Awaara
Par Vishal Bhardwaj
Album : 7 Khoon Maaf

Awaara

Hawa pe rakhe sookhe patte, awaara

Paon zameen pe lagte hi ud lete hain dobara

Awara awaraa awaara

Na shaakh jude na jad pakde

Naa shaakh jude na jad pakde

Mausam mausam banjara

Awaara awaara awaara

Jhonka jhonka ye hawa

Jhonka jhonka ye hawa, roz udaye re

Jake daar gayi wo to beet gaya

Jaaki maati gayi waka meet gaya

Koi na bulaye re

Rut rang liye aayi bhi gayi

Muthiyan na khuli berang rahi

Sookha patta banjara

Awaara awaara awaara

Haule haule ye hawa

Haule haule ye hawa, khel khilaye re

Khole dhoop kabhi, ghole chhaon kabhi

Kabhi pankh bane, bane paon kabhi

Dhool dikhaye re

Koi thah na mili na hawa na zameen

Na umeed ugi na dilasa kahin

Udta jaye bechara

Awaara awaara awaara.

Imprimé depuis ICIBILLET.COM - 03/05/2026 06:46