Sukh varan, prabhu, Narayan, hey
Dukh haran, prabhu, Narayan, hey
Mann, vaani mein wo shakti kahaan jo mahima tumhai gaan karen
Hey, agam-agochar avikari nirlep ho har shakti se pare
Hum aur to kuch bhi jaanein na, keval gaate hain paavan naam
Aadi madhye aur antt tumhi, aur tum hi aatm adhaare ho
Bhagton ke tum praan, prabhu, iss jeevan ke rakhwaare ho
Tum mein jeevein, janmein tum mein aur antt karein tum mein vishraam
Charan kamal ka dhyaan dharoon aur praan karein sumiran tera
Deenashray Deenanath, prabhu, bhav bandhan kaato hari mera
Sharnaagat ke Shyam hari, hey, Naath, mujhe tum lena thaam